Ussey Milna Toh Usey Eid Mubarak Kehna
Ussey milna toh usey Eid Mubarak kehna
Yeh bhi kehna k meri Eid Mubarak karde 🤍🌙
-
hiraeth76 reblogged this · 1 year ago
-
hiraeth76 liked this · 1 year ago
-
madeeha-firdaus liked this · 1 year ago
-
samiiikhan liked this · 1 year ago
-
outlanderscribbl liked this · 1 year ago
-
arbeenashafi liked this · 1 year ago
-
arcane-ersana liked this · 1 year ago
-
ibelongtofiction liked this · 1 year ago
-
shaikhraheen liked this · 1 year ago
-
lone-w0lf reblogged this · 1 year ago
-
lone-w0lf liked this · 1 year ago
-
anaump liked this · 1 year ago
-
sufiblackmamba liked this · 1 year ago
More Posts from Heyitsfurqan


tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai

junoon mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe kharabi hazar guzri hai
-Faiz
mai samajhta tha mohobbat ki zubaan khushboo hai, phool se use log khoob samajhte honge

wo khushboo hai, hawaaon mei bikhar jayega; masla phool ka hai, phool kahan jayega?
mujh ko yaqeen hai sach kahti thi jo bhi ammi kehti thi
jab mere bachpan ke din the chand men pariyan rahti thi
ek ye din jab apnon ne bhi ham se naata tod liya
ek vo din jab ped ki shakhen bojh hamara sahti thi
ek ye din jab saari sadkein ruthi ruthi lagti hai
ek vo din jab aao khelein saari galiyan kahti thi
ek ye din jab jaagi raaten divaron ko takti hai
ek vo din jab shamon ko bhi palken bojhal rahti thi
ek ye din jab zehn men saari avari ki baaten hai
ek vo din jab dil mein bholi-bhali baatein rahti thi
ek ye din jab lakhon gham aur kaal pada hai aansu ka
ek vo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin
ek ye ghar jis ghar men mere saz-o-saman rahta hai
ek vo ghar jis ghar men meri buddhi naani rahti thi
—Javed Akhtar
Teri har baat mohabbat mein gavara kar ke,
Dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke.
Aate jaate hain kai rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke.
Ek chingari nazar aai thi basti mein use,
Wo alag hat gaya andhi ko ishara kar ke.
Asmanon ki taraf phenk diya hai main ne,
chand mitti ke charaghon ko sitara kar ke.
Main wo dariya hun ki har bund bhanvar hai jis ki,
Tum ne achcha hi kiya mujh se kinara kar ke,
Muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage,
chand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke.
RAHAT INDORI

iqbāl' koī mahram apnā nahīñ jahāñ meiñ
mālūm kyā kisī ko dard-e-nihāñ hamārā