Urdu Language - Tumblr Posts
Mohsin Naqvi:
Bikne wale or hain jaa kar khareed loo Mohsin,
Hamlog qeemat se nhi qismat se mila karte hain.
Ahmad Faraz:
Chaho to ek nazar mein khareed loon isko Faraz,
Jisko Naaaz hai ke bikta nhi hoo main.
Wasi Shah:
Kis ki hai majaal k ham ko khareed sake Wasi,
Ham to khud hi bik gaye khareedar dekh kar.
Ashiqi mein 'mir' jaise khawab mat dekha karo,
Baavle ho jaoge mahtaab mat dekha karo.
Ahmad Faraz


Qayamat-khez hain ankhein tumhari,
Tum aakhir khawab kis ke dekhte ho.
Jaun Eliya

Teri har baat mohabbat mein gavara kar ke,
Dil ke bazar mein baithe hain khasara kar ke.
Aate jaate hain kai rang mere chehre par,
Log lete hain maza zikr tumhara kar ke.
Ek chingari nazar aai thi basti mein use,
Wo alag hat gaya andhi ko ishara kar ke.
Asmanon ki taraf phenk diya hai main ne,
chand mitti ke charaghon ko sitara kar ke.
Main wo dariya hun ki har bund bhanvar hai jis ki,
Tum ne achcha hi kiya mujh se kinara kar ke,
Muntazir hun ki sitaron ki zara aankh lage,
chand ko chhat pe bula lunga ishara kar ke.
RAHAT INDORI

Ham apni jaan ke dushman ko apni jaan kehte hain,
🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍🤍
Mohabbat ki isi mitti ko hindustaan kehte hain.
RAHAT INDORI
Happy Independence Day
🧡🤍💚
Yeh Chaman-zar yeh Jamuna ka kinara yeh Mahal,
yeh Munaqqash dar-o-divar yeh Mehrab yeh Taaq,
Ek shahenshah ne daulat ka sahara le kar,
Ham gharibon ki mohabbat ka udaya hai mazaq.
SAHIR LUDHIANVI



Tum jaante ho mujhe kya pasand hai?
Barasti barish.
Samundar ki lehrain.
Phoolon ki khushboo.
Chaandni raatain.
Achhi shayari.
Aur sab se zyada.
Is tehreer ka pehla lafz.
تم جانتے ہو مجھے کیا پسند ہے؟
برستی بارش۔
سمندر کی لہریں۔
پھولوں کی خوشبو۔
چاندنی راتیں۔
اچھی شاعری۔
اور سب سے زیادہ۔
اس تحریر کا پہلا لفظ.
Teri kayi tasveerein hai mere paas magar,
Dil fir bhi Tera deedar chahta hai.
Unknown