Urdu Shayar - Tumblr Posts
Wo Khwab Me Jiya Karte Hai..
Haqeekat Kya Samjhenge,
Ishq Bazaar Hai Unke Liye..
Jeegar Ki Keemat Kya Samjhenge.
Kabhi Likhoge Toh Aadha Mat Likhna..
Aur Ishq Sachcha Tha Mera,Iss Se Zyada Mat Likhna.
Hisaab Bhi Kya Lagaye Tum Dikhte Bekaar Se Ho..
Hafte Bhar Ke Ishq Me Tum Itwar Se Ho..
Ye Jo Rishte Me Aai Hai Wahi Khaar Hun Me,
Tumne Pehchana? Tumhari Jaan Hun Me..
Khwahish Thi Ki Wo Mera Matha Choome,
Maine Jhooth Keh Diya Ki Beemar Hun Me..
Mera Aur Uska Pyaar Safed Kurte Me Neel Jaisa Tha..
Wo Nikla Deemak Lagi Hui Lakdi, Mera Pyaar Lohe Ki Keel Jaisa Tha! ✨
Teri Berukhi Se Hai Badi
Umar Intezaar Ki Meri
Ke Maaregi Zyada Mujhe Maut Se...
Narazgi Teri!
Befikr Raho Meri Jaan, Yaad Rakhna Toh Masala Hai Deemag Ka..
Tum Toh Dhadkan Me Baste Ho, Jo Tumhe Bhula De Waisa Dil Kya Khaak Ka..
#shayari